Parha jo kalima us nai hai aur main nai bhi,
musalman wo bhi hai aur main bhi hoon.
Sitam ki takmeel ki us nai aur sabr ki inteha main nai bhi,
musalman wo bhi hai aur main bhi hoon.
Shab soya be-iztarab wo hai aur bhooka main bhi,
musalman wo bhi hai aur main bhi hoon.
Subh gunchoon ko pani dia us nai hai aur khoon main bhi,
musalman wo bhi hai aur main bhi hoon.
Is jang main jeet uski, haar nhy hai meri bhi,
Shaheed wo bhi hai aur main bhi hoon.
Roz-e-mehshar main mard-e-mu'min ki fehrist sai naam ho na jai pardes,
musalman tu wo bhi hai aur main bhi hoon.
Monday, September 02, 2013
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment