Sunday, October 18, 2009

Ahwale Duniya



Aalim bana hai jahil,
Jahil bana hai aalim,
Yeh kaisa zamana hai, ya Rab!,
Kai dewana bana hai haakim.

Jamhotiyat nai bakhsha hai,
Yeh nizam dehriyat ka,
Kai paise ki parestish per hai aaj,
emaan insaan ka.

Ki wafa ki umeed,
Us bewafa sai,
Jo ibn-e-adam kai roop main,
Aks hai shaitan ka.

Karta hai kia tu shikwa,
Bhari mehfil main, Arsalan,
Yeh sab tu karam hai,
Tere apne aamaal ka.

No comments: